Symptoms of Stomach Worm in Goats


https://www.goatfarming.ooo/2018/07/symptoms-of-stomach-worm-in-goats.html
Symptoms of Stomach Worm in Goats
Bakariya aur unke pet ke kide yaani (Stomach Worm in Goats) ke bare me acchi khabar ye hai ki bakariyo ke pet ke kido se insano ko koi nuksaan nahi hota, lekin buri khabar ye hai ki ye kide bakariyo ko nuksaan puchate hai. is smasya ka hal ye hai ki aap bakariyo ko pet ke kide marane ki dva (dewormer) de sakate ho. market me bakariyo ke pet ke kide marane ke liye kafi dawaiya uplabadha hai lekin in dawaiyome kaafi sare chemicals paaye jaate hai, jis karan bakariyo ko in dawaiyo ka side effect bhi hota hai. aur sabse mahatvpurn bat ye hai ki in dawaiyo ki uplabadhata aaur kimat ke karan bakari palak dewormer ko kharidanese katrate hai sath hi in dawaiyo ki matra bhi niyojit tor par deni hoti hai agar in dawaiyoki matra thodi bhi  jyada ho gayi to bakari ko nukasan ho sakata hai. Sabase pahale dekhate hai ki bakariyo me (Stomach Worm in Goats) yani pet ke kide hai ke nahi hum kaise jachenge.

Symptoms of Stomach Worm in Goats

Ø Pale Gums (Masude ka Rang Safed hona)
Ø Abnormal Stools (Bakariyo ko bar bar diarrhea hona)
Ø Dull Coat ( Bakariyo ke bal aaur twacha bejan dikhna)
Ø Low Weight (Bakariya kamjor hona)

   Ø  Pale Gums (Masude ka Rang Safed hona)

Bakariyo ke pet me kide (Stomach Worm in Goats) hai ya nahi ye janane ke liye sabase aasan aaur saral upay hai unke masude check karana. Swasth bakariyo ke masude halke gulabi ya gulabi hote hai, jabaki, jis bakari ke pet me kide (Stomach Worm in Goats) hote hai unake masude aapko safed najar aayenge.

  Ø  Abnormal Stools (Bakariyo ko bar bar diarrhea hona)

Bakariya agar swasth ho to unka mal saaf aur lendi ke rup me hota hai, lekin agar kisi bakari ke pet me kide (Stomach Worm in Goats) ho to use bar bar diarrhea ke lakshan dikhayi denge, sath hi bakariyo ki lendi me chipchipa sa drav agar ho to samaj lena chahiye ki bakari ke pet me kide hai.

Ø Dull Coat ( Bakariyo ke bal aur twacha bejan dikhna)

Swasth bakariyo ke balo par ek khas kism ki chamak hoti hai, ye bakari swasth hone ke ek lakshano me se ek hota hai, jis bakari ke bal chamakdar hote hai, wo bakari swasth aaur unke pet me kide (Stomach Worm in Goats) nahi hote, agar kisi bakari ki bal bejan aur skin dull dikhe to us bakari ke pet me kide hai ye samaj lena chahiye.

Ø Low Weight (Bakariya kamjor hona)

Agar koi bakari kafi khati hai magar uska weight nahi badhta to samaj lena chahiye ki bakari ke pet me kide (Stomach Worm in Goats) ho sakate hai, kyo ki bakari ke pet me kide hone se, wo kide bakarine jo chara ya fir khurak khai hai usmese Nutrition aur poshantatv chus lete hai jis karan bakari ne kitana bhi khya to uska weight nahi badhata.
In khataro se bachane ke liye naisargik dewormer yaani Natural Dewormer ka prayog karana chahiye. Natural Dewormer bakariyo ke swasth ke liye acche hote hai sathhi inke istemaal se koi side effect bhi nahi hota. Natural Dewormer badehi aasaanise hamare ghar tatha kheti aur bagicho me uplabdh bhi hote hai.

Is post ki madat se aap jaan gaye honge ki bakariyo ke pet me kide hai ya nahi ye kaise jane. Agar aapke koi sawal hai to comments jarur kare.
Bakariyo ke Natural Dewormar ke bare me adhik janakari ke liye video dekhe.

https://www.youtube.com/watch?v=zgGFTiidjik


        



Symptoms of Stomach Worm in Goats Symptoms of Stomach Worm in Goats Reviewed by Nitesh S Khandare on July 29, 2018 Rating: 5

No comments:

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Powered by Blogger.