Goat Diarrhea (loose motion) Treatment (Hindi)


https://www.goatfarming.ooo/2018/07/goat-diarrhea-loose-motion-treatment.html
Goat Diarrhea (loose motion) Treatment (Hindi)
Namaskar Dosto,
      Bakari palan business me bakariyo ko tandrust rakhana kafi mahatvpurn hota hai, bakariya waise dekha jaaye to kafi sakht jaan prani hai, bakaria kisi bhi vatavaran ko acche se zel leti hai, lekin bakariyome sankramak bimariya bhi kafi aasanise aur tejise failti hai, khas kar agar aap bakariyo ka zund pal rahe ho to ek bakari ki bimaari dusare bakari ko aasani se ho sakati hai, agar in bimarioka jald se jald ilaj nahi kiya gaya to unki jaan bhi ja sakati hai.
        Bakari palan business jyadatar tar gramin bhago me kiya jata hai, isliye gramin bhago me veterinary doctor ki kami aur veterinaty medicine ki kami ke chelate bakariyo ka thik se ilaj nahi ho pata parinaswarup bakari palak ko kafi nuksan ka samana karana padta hai, bakariyo me kafi ghatat sankramak rog hote hai jisake tike agar hum sahi samay par bakariyoko lagaye to hum in sankramak roge se mukti pa sakate hai.
        Leking aaj hum “goat diarrhea treatment” yaani bakariyo ke hone wale diarrhea ke bare me janege aaur isaka desi elaj kya hai aur kaise kiya jata hai is Vishay par charcha karenge. goat diarrhea (loose motion) bakario me aam hai, magar iska turant elaj nahi kiya gaya to ye bakariyo ke liye janleva bhi sabit ho sakata hai, sabase pahale janenge ki bakario me diarrhea (loose motion) hone ke mukhya karan kya hai aaur usaka kaise treatment kiya jana chahiye.

Causes of Goat Diarrhea and Treatments

   v  Sudden changes in feed
   v  Stress
   v  Bacterial Infection
   v  Overfeeding (Kids)

Sudden Changes in feed:
        Dosto kai bar hum bakariyo ko unake daily feed yaani char eke bajay naya chara ya fir khurak achanak shuru kar dete hai, bakariyo ka pachantantra kafi majboot aur fast hota hai magar agar hum bakariyo ka chara achanak badal de to unhe wo chara pachane me kathinai hoti hai, kai bar hum bakaro ko ya bakariyo ko mota taja karane ke liye khurak shuru kar dete hai dosto bakariya ped paudhe khanewala janwar hai, kudratan usake aahar me anaaj nahi hota, magar hum bakariyo ko mota taja karane ke liye anaaj se bana huva khurak shuru kar dete hai joki unhe pachaneme kafi kathinai hoti hai parinaswarup bakriyo ko diarrhea (loose motion) yaani loose motion shuru ho jate hai.
        Bakari ka chara ya fir khurak dena ho to kabhi bhi jaldbaji na kare kyoki esa karane se bakario ko diarrhea lag sakata hai, isiliye naya chara ya khurak bakariyo ke kam kam maatra me purane char eke sath mix karake dena hai. Taki bakariya aasanise use pacha sake.

Stress :

        Bakariyo me stress yani tanav bhi goat diarrhea (loose motion) ka karan ho sakata hai. Bakariya zund me rahane wali prani hai, agar aap ek bakari ko palenge to vo aapko prasann nahi dekhegi aur hamesha kamjor aur bimar rahengi.
Isake alava agar aap bakariyoko zund me rakhe to vo kafi acche se rahati hai. Ekeli bakari stress yani tanav ka samana karati hai, aur kabhi kabhi diarrhea ho sakata hai,
        Isake alava bakari ko jyada traveling ke dauran, andhere me jyada der rakhane se, bakari ko nayi jagah pe shift karane se bhi tanav ho sakata hai.

Bacterial Infection:

        Bakariyo ko bacterial infection se bhi diarrhea hota hai, agar ek bakari ko diarrhea (loose motion) huva hai aaur usake mal se dusari bakari ka sampark ho gaya to swasth bakari bhi diarrhea (loose motion) se grasit ho jati hai. Bakariyo ko bacterial infection ho ke bahot karan hote hai. Isake bare main ek alag post karunga.

Over Feeding (Kids) :

        Bakariyoke navjat baccha agar jyada matra me bakari ka doodh pi le to use bhi diarrhea ho sakata hai. Bade bakari aur bakaro me bhi agar hum unhe jabardasi feeding yani bharai kare to unhe bhi diarrhea (loose motion) ho sakata hai.

Goat Diarrhea Treatment (Desi Elaj)

 Esabgol Desi Elaj:


Dosto market me ya phir medical store me esabgol ki bhussi milati hai jo aamtor par issano ke liye istemal ki jati hai. Magar hum esabgoal ka upyog bakari ke diarrhea (loose motion)
 ke treatment ke rup me kar sakate hai.

Istemal ka Tarika

         a)   2 Chmmach Esabgoal
 b)   ½ glass saaf pani


https://www.goatfarming.ooo/2018/07/goat-diarrhea-loose-motion-treatment.html
Goat Diarrhea (loose motion) Treatment (Hindi)

        ½ glass pani lekar usame 2 chammach esabgoal mix kare jo gadha dravan tayar hoga use acche se mix kare, tayar dravan etana patala hona chahiye ki bakari aasaani se use pee sake.Ye dravan aapko din me 3 baar yaani ½ glass sabere, ½ glass duphar, aur ½ glass shyam ko dena hai.
        Agar bakarika chota baccha hai to use 1 cup me 1 chammach esabgol mix karake pilaye aapko turant aaram milega. Is dauran diarrhea huye bakari ko glucose ya electrol ka pahi bhi bakari ko lagatar pilate rahana hai taki usake sharir me pani ki kami na ho.
        To is tarah hum Goat Diarrhea Treatment (Desi Elaj) kar sakate hai, aasha karata hu aap sabhi ko ye post pasand aaye hogi.







Goat Diarrhea (loose motion) Treatment (Hindi) Goat Diarrhea (loose motion) Treatment (Hindi) Reviewed by Nitesh S Khandare on July 29, 2018 Rating: 5

No comments:

Note: Only a member of this blog may post a comment.

Powered by Blogger.